Zindagi ke khel mein

Nazuk the hum,
Kaafi baaton pe
aasun bahaya
karte the.

Kathor thi duniya,
Humare aasuon
Ke namak ko
humare hi zakhmon
par lagaya karti thi.

Jalan hona jaise
hi band hua,
Sabak humne
tab seekh liya tha.

Aasuon ko peena,
Zakhmon par
marham lagana,
Dil daba kar
mooh modd lena.
Inhe ab aadat
bana liya hai.

Ab agar humein
miloge toh pehechan
na pao shayad.

Bheetar, khud ko
kaat kar yeh bahari
roop jo banaya hai.

Insaan wahin hun,
insaaniyat ko bas
gavaya hai.
- a.m

Comments

Popular Posts