Antar

Parchai mein khoyi duniya,
andhera sab nigal gaya
khamosh baithe reh gaye sab
doshi kehlayenge voh ab

Jal rahein hai jungle jungle
jal rahi hai nadiyan
Jal rahein hain khoon mein liptein kapde
jal rahi hai yeh duniya

Tarrakki tarrakki cheektein chillatein
hai yeh log jab bhi awaam aawas uthaye
phir dharam aur jaatiwaad ko laa kar
baaki sab yeh jhootlayein

Inka sach sab sach hai
baaki janta sirf jhooti kehlaye
Aur agar aadhi janta jhooti hai
tabhi toh sab tabahi machayein

Samvidhan se kya darenge yeh log
inhone ne toh bhagwan se bhi mod li ladayi hai
Pehele eashwar ko bata, phir zameen ko
ab parivaron ki shamat aayi hai

Din dahade ladkiyan gayab hoti hai
Rakshason ko jail nahi kursi milti hai
Kanoon toh khel ban chuka hai
toh insaaf ki yeh kaisi ladayi hai?

Ek nakli Dhritrashtra kya mil gaya,
Gandhari ban baithi aadhi duniya
Topi ya bhagva rang kya pehen liya
har koi hafiz, hazrat, sadhu, sant ya devta ban liya

Insaan kahan milega par?
Insaaniyat jiss mein baaki ho
Aakhon ki patti jo nikal kar
apni aawaaz uthaye
mandir masjid ke aage bhi jisse koi
manzil nazar aaye

Dhoond rahein hai unhein jo,
andhere se darte nahi
dhoondh rahein hai unhe jo
maidan mein peeche hat tein nahi

Aasan hai azad rehena,
aur bhi aasan hai azad rehene dena
apni hi zindagi bas kyun
sabki zindagi sawaar do
bas insaano ki hi kyun
har jeev ki awaaz bano

Bhagwaan ke bande nahi toh
apne bhagwan ki hi maan lo
Khol lo koi bhi kitaab, quran ya granth
suna do nafrat ka ek kissa
maan lenge haar hum

Bata na paaye par agar tum,
toh maan lena mera yeh sach
upar wale ne sirf janma tha insaan ko
par khuddari likhegi humara anth


Comments

Post a Comment

Popular Posts