Koshish
ajeeb sa din tha
yeh kaisi ajeeb raat aayi thi
aankein thodi namm
zubaan ladkhadayi si
tum yaad aaye the
mazabooree satayi thi
jab shabdh dhoka de baithe
aankhon ne nadiyan bahayi thi
kehane ko toh
kitni baatein dil mein aayi thi
par keh kar bhi hum kya kartein
jab tumhe hum hi kabhi samajh na aaye the
yeh khaalipan jo ab hamare darmiyan tha
usse nyota bhi toh hum hi ne diya tha
tumne ek haath chhoda
dusre mein yeh hi toh thama diya tha
tab usse khat ka naam dete huye
vida humein tumne kiya tha
phir usse hi nyota ka naam dete huye
iss khalipan ka swagat humne bhi kiya tha
kya jaane kab phir mulakat hogi
ab jo hamara tumhara saath nahi
khushi lekin iss baat ki hai ki
ab koi khamosh raat bhi nahi
khamoshi iss liye keheti hun
kyunki khamoshi ke do pehlun hotein hain
ek tum hua karte the
aur ek hum aaj bhi hua kartein hain
ab umeed bas itni si kartein hain ki
phir kabhi yeh ajeeb raat dubara na aaye
aur humari khamoshi
tumhare jaane ke sath hi chali jaaye.
- anjali mishra
yeh kaisi ajeeb raat aayi thi
aankein thodi namm
zubaan ladkhadayi si
tum yaad aaye the
mazabooree satayi thi
jab shabdh dhoka de baithe
aankhon ne nadiyan bahayi thi
kehane ko toh
kitni baatein dil mein aayi thi
par keh kar bhi hum kya kartein
jab tumhe hum hi kabhi samajh na aaye the
yeh khaalipan jo ab hamare darmiyan tha
usse nyota bhi toh hum hi ne diya tha
tumne ek haath chhoda
dusre mein yeh hi toh thama diya tha
tab usse khat ka naam dete huye
vida humein tumne kiya tha
phir usse hi nyota ka naam dete huye
iss khalipan ka swagat humne bhi kiya tha
kya jaane kab phir mulakat hogi
ab jo hamara tumhara saath nahi
khushi lekin iss baat ki hai ki
ab koi khamosh raat bhi nahi
khamoshi iss liye keheti hun
kyunki khamoshi ke do pehlun hotein hain
ek tum hua karte the
aur ek hum aaj bhi hua kartein hain
ab umeed bas itni si kartein hain ki
phir kabhi yeh ajeeb raat dubara na aaye
aur humari khamoshi
tumhare jaane ke sath hi chali jaaye.
- anjali mishra
Comments
Post a Comment